Songtexte.com Drucklogo

Shikwa Na Kar Gila Na Kar Songtext
von Mehdi Hassan

Shikwa Na Kar Gila Na Kar Songtext

Shikwaa na kar, galla na kar
Ye duniya hai, pyaare, yahaan gum ke mari tadapate rahe

Shikwaa na kar, galla na kar
Ye duniya hai, pyaare, yahaan gum ke mari tadapate rahe
Shikwaa na kar, galla na kar

Khizaan is gulsitaan main aati rahi hai
Hawa sukhe pate udaati rahi hai
Yahaan fool khul ke, baharon se mil ke bichadte rahe
Shikwaa na kar, galla na kar


Yahaan teree ashkon kii keemat naheen hai
Raham karna duniya kii aadat naheen hai
Kisi ne na dekha, yahaan koon ke aansu dhalakte rahe
Shikwaa na kar, galla na kar

Yahaan kaa hai dastuur khamosh rahanaa
Jo gujri hai dil pa kisi se na kahana
Ye din kaat hans ke, yahaan log bas ke ujadate rahe
Shikwaa na kar, galla na kar
Ye duniya hai, pyaare, yahaan gum ke mari tadapate rahe
Shikwaa na kar, galla na kar...

Songtext kommentieren

Log dich ein um einen Eintrag zu schreiben.
Schreibe den ersten Kommentar!

Fans

»Shikwa Na Kar Gila Na Kar« gefällt bisher niemandem.